Wednesday, May 26, 2010

A Poem Dedicated to the Memory of Victims of Air India Crash at Mangalore

Zindagi ki ek khaufnaak sach ( A horrific truth about life)

Ek haadse mein anek be reham maut ne,
hamein zindagi ki ek khaufnaak sach se mila diya.

Sirf do hi pal pehle,
Hum zindagi ki ek khubsoorat ujale ki taraf dekh rahe the’
Magar un do palon mein ,
Sab kuch badal gaya.

Uss din ke ujaale mein woh tamam log,
Shaayad anginat sapne dekh rahe the’
Aur apni apni manzilon ki soch mein shaayad doobe huye the’.

Magar un sab ko kya pata tha,
Ki kuch palon mein hi,
Unka yeh safar un sab ko,
Kisi aur jahaan ki taraf hamesha ke liye le jayega.

Woh tamaam log mere kuch nahi the’ ,
Magar phir bhi naa jaane kyon,
Is ek haadse ne,
Mujhe maayusi ki kisi gehri jheel mein dubo diya,
Aur zindagi ki un tamaam khubsoorat ujalon ki kaamna karte hue bhi,
Aise kaufnaak sach ka saamna karne par bhi,
Hamein majboor kar diya.

Sach, iss zindagi ke ujaale khubsoorat zaroor hain
Magar saath saath kuch aise khaufnaak sach,
Dubo dete hain ham sab ko,
Mayusi ki kisi gehri jheel mein.


Translated

Tragic loss of lives in an incident,
Revealed a horrific truth about life to me.

Just two moments ago,
I was looking towards a beautiful dawn of life,
But in those two moments itself,
Everything changed.

During the dawn of that day, all those people,
Were perhaps involved with countless of dreams,
And perhaps were thinking about their respective destinations.

But what did they know,
That a few moments later,
This journey of theirs,
Would take them forever, towards another world.

All those people were no one of mine,
But still, for reasons unknown
This one incident
Drowned me into a deep lake of sorrow,
And despite aspiring for those beautiful dawns of life,
Compelled me to face such horrific truths as well.

Really, life’s dawns are beautiful,
But at the same time such horrific truths,
Drown all of us,
Into the lake of sorrrow.